Wo Chahe To....
Wo Chahe To Mere Saath Chal Bhi Sakta Hai
Is Uljhan Ka Hal Nikal Bhi Sakta Hai....
Kitni Muddato Se Chahta Hai Faraz Tujhe
Warna, Chahe to Rasta Badal Bhi Sakta Hai...
Wo Chahe To Is Masle Pe Baat Kar Bhi Sakta Hai
Pareshaniyo Ka Mausam Dhal Bhi Sakta Hai
Mujhse Kuchh Khata Hui Hai To Bataye
Faraz Tere Khatir Badal Bhi Sakta Hai...
Waqt Yahi Abhi, Bigda Kuchh Nahi Abhi
Hamare Khwaabon Ko Karwan Mil Bhi Sakta Hai...
Wo Dua Ke Liye Zara Haath To Uthaaye
Khuda Kuchh Karishma Kar Bhi Sakta Hai...

0 Comments:
Post a Comment