Welcome!

I am Faraz Husain Writer Singer Peformer Graphic Designer

View Work Contact Me!

About Me

Wrtings
Performing
Singing
Who am i

Faraz Husain (RK)

Writer, Singer, Performer and Graphic Designer

Hey ! Mohammad Faraz Husain is here, I'm Ambitious Boy A Writer and Performer Also, Belong from Delhi #ShareMyWork #SpreadSmile.

Our Blog

Wafa Ke Badle Mein Jo Bewafai Deta Hai | A Beatiful Poetry By Faraz Husain (RK)

Wafa Ke Badle Poetry By Faraz Husain RK Hidden Notion #HIddenNotion




Wafa Ke Badle Mein Jo Bewafai Deta Hai
Faraz Wo Shaks Hai Faqat Ruswai Deta Hai

Uske Dil Me Mansube Kuch Or Hote Hain
Uski Ankho Mein Kuch Or Dikhai Deta Hai

Sabko Ye Khabar Hai Ke Gunahgar Tu Hai
Fir Kyun Waqalat Karta Hai Safai Deta Hai

Is Shirt Mein Ab Tak Uski Khushbu Ati Hai
Ye Dil Bhi Uske Hone Ki Gawai Deta Hai

Meri Zaat Se Taqleef Boht Hui Hai Use
Sone Jau Gar To Uska Rona Sunai Deta Hai

Wafa Ke Badle Mein Jo Bewafai Deta Hai
Faraz Wo Shaks Hai Faqat Ruswai Deta Hai

#FarazHusainRK



Chai | A Beautiful Poetry Written By Faraz Husain RK

Chai Poetry By Faraz Husain RK HiddenNotion


Tum Kuchh Nahi Mera Aur Tum Hi Sab Ho
Ye Jo Haal Mera Iska Tum Hi Sabab Ho
Are Bhoolna Hai Tumhe? Bhula Denge
Tum "Chai" To Nahi Jo Bar Bar Talab Ho

- #Farazhusainrk


Main Alfaaz Nahi Likhta Main Jazbaat Likhta Hun..



Dil Pe Lag Jaye Jo Tere Wo Baat Likhta Hun

Main Alfaaz Nahi Likhta Main Jazbaat Likhta Hun

Jo Tha Hamare Beech Parde Hain Uspe Kayi

Ye Log Samajh Jaaye Isi Khatir Tere Karamat Likhta Hun.

- Faraz Husain (RK)

Easa Nahi Ke Neend Bahane Nahi Deti

Faraz Husain Rk shayari shayar ghazal hiddennotion
Easa Nahi Ke Neend - A Ghazal - Written By Faraz Husain RK


Easa Nahi Ke Neend Bahane Nahi Deti
Kuchh Zimmedariya So Jaane Nahi Deti

Wo Mere Hisse Me Aane Ko Raazi Nahi Aur
Kisi Aur Ka Bhi Mujhe Ho Jane Nahi Deti

Tere Aage Raqs Karu Apni Wafa Ka Magar
Meri Ana Mera Kirdar Girane Nahi Deti

Ye Hawa Teri Bheji Baddua Hai Shayad
Band Kamre Mein Bhi Cigarette Jalane Nahi Deti
- Faraz Husain (RK) 


Sharam Haya Lihaz Baad Ki Baat Hai Afsos To Ho...
Saari Baatein Chhodo Ye Batao Tum Khush To Ho.....



Poetry - Faraz Husain RK #Flirtyrk #farazhusain #hiddennotion






Wo Chahe To....



Wo Chahe To Mere Saath Chal Bhi Sakta Hai
Is Uljhan Ka Hal Nikal Bhi Sakta Hai....
Kitni Muddato Se Chahta Hai Faraz Tujhe
Warna, Chahe to Rasta Badal Bhi Sakta Hai...

Wo Chahe To Is Masle Pe Baat Kar Bhi Sakta Hai
Pareshaniyo Ka Mausam Dhal Bhi Sakta Hai
Mujhse Kuchh Khata Hui Hai To Bataye
Faraz Tere Khatir Badal Bhi Sakta Hai...

Waqt Yahi Abhi, Bigda Kuchh Nahi Abhi
Hamare Khwaabon Ko Karwan Mil Bhi Sakta Hai...
Wo Dua Ke Liye Zara Haath To Uthaaye
Khuda Kuchh Karishma Kar Bhi Sakta Hai...

Ishq Mein Log Badnaam


Kuchh Nahi Faqat Zinakari Ke Kaam
Hote Hain...

Ishq Mein Log Aksar Ease Hi Badnam
Hote Hain...

- Faraz Husain (RK)

Contact Us

Phone :

+91 7500796345

Address :

T - Gate
Aligarh

Email :

Farazrk.fr@gmail.com

Powered by Blogger.

Featured post

Wafa Ke Badle Mein Jo Bewafai Deta Hai | A Beatiful Poetry By Faraz Husain (RK)

Wafa Ke Badle Mein Jo Bewafai Deta Hai Faraz Wo Shaks Hai Faqat Ruswai Deta Hai Uske Dil Me Mansube Kuch Or Hote Hain Uski Ankho ...

Search This Blog

Faraz Husain

Faraz Husain
Faraz Husain (R.K.)

Faraz Husain

Faraz Husain (R.K.)

Dreamer | Rockstar | Writer | Lyricist | Graphic Designer | Science Boy | Ambitious Banda

Search

Instagram Photo Gallery

Featured Post Via Labels

About us